Teri bheegi palkhoan ki chaoan mein
Paa liya Maine Apna Mukamil jahan
Duniya ne kaha mujh se
Kya hai tumhari masroofiyat
Maine muskura kar kaha
Kissi ki palkhoan ki narm chaoan
Ke tale, Mera Mukamil jahan
Phir kaha jaon mein
Kahan Dhundoo, ek naya sa jahan?
Unki palkaein kabhi bheegi si
Kabhi madham si nam
Aatish baras Ti nighaoan ko
Chupati unki bheegi si palkaein
Phir bhi Maine Apna sukoon paya
Unki bheeghi si palkoan ke saaye
Ab na koi Aur jahan ki Chahat
Na koi Arzoo, koi Aur palkoan ki
Aye Musafir-E- Jahan tujhe mil
Gayee Kya apni manzil?
Pooch baithee shireen
Jawab -e- musafir - e - jahan
Ek mukamil jahan, kissi ke
Bheeghi palkoan ke tale
Muskurate aakhon mein paalo apna Jahan !!
ReplyDeleteShukriya! Zahe naseeb
ReplyDelete❤❤❤
ReplyDelete