Tuesday, June 23, 2020

Chahat

Chahat aur Arzoo
Ke darmiyan insan
Kaisa bath sa Gaya hai
Chahatein angeenath
Usko nikhartee Arzooain
Uss beech mein aas
Kabhi kisi ko chah ke
Na paane ki
Kabhi paa ke dobara Kho dena ki
Kabhi arzoo mein zindagi basar Ho jaati  hai
Kabhi chahat ke dar pe khadi
Arzoo be panah aansooaan ka
Nazrana liye khadi rehti hai
Yeh aas mein ki , kabhi  to
Dil ka darwaza khul hi jayega
Magar jis darwaze pe taqdeer
Hi taala laga diya ho
Usse phir kaunsi chabee khole gi
Chahat ki
Aas ki
Dua ki
Ya phir marti huwi Arzoo ki

Shireen Haider

No comments:

Post a Comment

Red Stilettos

 Red stilettos was the order of the day! It was a night to celebrate with her friends who she had not met in years! The big school friends r...